PC Software Kaise Download Kare Free Me in Hindi: Trusted Website

Internet par ab tak kai free software downloading ki website ban chuki hai, lekin un me se trusted website kounsi hai yah kahna thoda muskil hai kyonki aaj ke wakt me kai website software ke badle me aise code apne system me install karwa dete hai ki apko apne browser me unke companies ke hi advertise show hoti hai aur bina bharosewali website se software se apke Operating system me virus bhi aa sakte hai aur kisi tarah ke attack se apka data bhi churaya jaa sakta hai.
Isliye main apke liye ek bharosemand website lekar aya hu jaha me bhi apne needy software download karke apne laptop me install karta hu.
FileHippo
Filehippo.com website par apko apni jarurat ka har software mil jaega. Is website ke trusted hone ka reason yah hai ki yah website users ya publishers ko filehippo par software upload karne ki permission nahi deta hai, jiska matlab hai FileHippo par har software dhyan se dekh kar aur check karke upload kiya jata hai.Website Popularity
According to this Wikipedia Page, FileHippo ne November 2015 tak US$13,000,000 ka net worth kiya tha, jo ki bahut bada amount hai.Yah website 2004 me bani thi ab tak is website ko 13 years ho chuke hai aur aaj bhi yah website successfully status par chal rahi hai.
Filehippo website ek App manger bhi provide karta hai jiska name hai FileHippo App manager, jisme computer se outdated software scan karta hai aur new version software ka links provide karta hai.
Operating System
FileHippo par Windows aur Mac dono operating system ke liye software download kar sakte hai.FileHippo Features
- Ekdam updated website hai.
- Har software virus free hai.
- Har operating system ke liye software hai.
- Software ki bahut categories hai, category wise software search kar sakte hai.
- Popular software ki lis bhi prove karta hai, yaha click karke dekh sakte hai.
- App manager provide karta hai jisme software ka new version ka notification milta hai.
Thanks for reading. tech solution hindi me.
I hope you liked it. Please share in social media and givefeedback in comments .
No comments