Computer se Mobile Par Internet Kaise Chalaye Hotspot Kaise Banaye
Internet chalana aaj ke samay me ek aadat ban gayi hai. Har koi apne mobile ya computer se din me ek baar to internet jarur chalata hai. Samay ke sath internet aur usse judi technology bahut fast ho gayi hai.
Kai log apne mobile me internet chalane ke sath-sath apne computer ya laptop me bhi internet chalate hai. Agar aapke paas bhi computer ya laptop me high speed broadband internet hai aur aapke mobile me internet data band ho gaya hai. Aise me aap apne computer ke internet ko apne mobile phone me chala sakte hai.

Network name me apne hotspot ka name enter kare.
Aapko iss post me batayi gayi simple si tips ko follow karna hai uske baad aap apne mobile phone me computer ki madad se internet chala payenge.
Computer se mobile par internet chalane ka tarike
Mobile par computer ya laptop se internet chalane ke 3 tarike hai.
- Apne computer ko modem banakar.
- USB cable connect karke.
- Laptop me Wifi hotspot kaise banaye
- Sabse pehle aap iss link se wifi hotspot software download kare.
- Website se software ko download kare aur apne laptop me install kar le.
- Ab wifi hotspot ko open kare.

Network name me apne hotspot ka name enter kare.
- Wireless password me wifi ka password creat kare.
- Aakhir me “On” kar de.
- Aapka Wifi hotspot start ho jayega. Ab apne mobile me wifi on kare aur apne hotspot ko search kare. Aapke laptop me banaye gaye hotspot ka name show hone par password enter kare aur connect kar le. Aapke mobile me wifi start ho jayega.
- Agar wifi connect hai lekin internet nahi chal raha hai. To setting me jakar “Share the following connection” me apna broadband ka naam select kare. Jisse aap apne computer me internet chalate hai.Is free wifi software me aap wifi connection ko limited bhi kar sakte hai. Setting par click karne ke baad “Number of devices allowed to connect” me aap minimum 1 se lekar 10 tak connection ko set kar sakte hai. Agar aapne 1 device allowed kiya hai to keval 1 hi mobile wifi se connect hoga. Ek se jyada mobile wifi se connect nahi honge.
USB se internet kaise chalaye
Wifi hotspot sirf Laptop aur wifi enabled pc me banaya jaa sakta hai. Agar aapke paas computer hai lekin usme wifi nahi hai. To aap iss method ka use karke apne computer se mobile par internet chala sakte hai.- Sabse pehle apne android mobile ko computer me usb se connect kare.
- Ab mobile setting open kare.
- “Wireless & networks” setting me “USB tethering” ko on kare.
Ab apne computer me “network and sharing center” open kare.Network and sharing center open hone ke baad apne broadband name ke samne network name par double click kare. Network name par click karne ke baad ek “General” window open hogi. Is window me “properties” par click kare.Properties par click karne ke baad “Sharing” tab par click kare aur ” Internet Connection Sharing” ko enable kar de. Ab mobile me USB tethering se internet start ho jayega. Agar aapko koi problem aa rahi hai to mujhse comment karke puch sakte hai.
No comments